Zafar Iqbal

nahin ki tere ishaare nahin samajhta hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
nahīñ ki tere ishāre nahīñ samajhtā huuñ
samajh to letā huuñ saare nahīñ samajhtā huuñ
tirā chaḌhā huā dariyā samajh meñ aatā hai
tire ḳhamosh kināre nahīñ samajhtā huuñ
kidhar se niklā hai ye chāñd kuchh nahīñ ma.alūm
kahāñ ke haiñ ye sitāre nahīñ samajhtā huuñ
kahīñ kahīñ mujhe apnī ḳhabar nahīñ miltī
kahīñ kahīñ tire baare nahīñ samajhtā huuñ
jo daa.eñ baa.eñ bhī haiñ aur aage pīchhe bhī
unheñ maiñ ab bhī tumhāre nahīñ samajhtā huuñ
ḳhud apne dil se yahī iḳhtilāf hai merā
ki maiñ ġhamoñ ko ġhubāre nahīñ samajhtā huuñ
kabhī to hotā hai merī samajh se bāhar hī
kabhī maiñ sharm ke maare nahīñ samajhtā huuñ
kahīñ to haiñ jo mire ḳhvāb dekhte haiñ 'zafar'
koī to haiñ jinheñ pyāre nahīñ samajhtā huuñ
Top Urdushayar.com