zinda bhī ḳhalq meñ huuñ marā bhī huā huuñ maiñ
huuñ muḳhtalif bhī is meñ phañsā bhī huā huuñ maiñ
jo ahl-e-shahr ko kisī sūrat nahīñ hai raas
aisī yahāñ pe āb-o-havā bhī huā huuñ maiñ
āzurda kyuuñ haiñ ab mire shevan pe ahl-e-bāġh
kuchh din yahāñ pe naġhma-sarā bhī huā huuñ maiñ
in bārishoñ kī mujh ko tamannā bhī thī bahut
dīvār se zarā sā miTā bhī huā huuñ maiñ
rahtā huuñ duur us ke dil-e-narm se magar
patthar kī tarah is meñ juḌā bhī huā huuñ maiñ
zinda huuñ phir bhī ek umīd-e-bahār par
pattā huuñ aur shajar se jhaḌā bhī huā huuñ maiñ
rahtā nahīñ huuñ bojh kisī par ziyāda der
kuchh qarz thā agar to adā bhī huā huuñ maiñ
rakhne lage haiñ kuchh nazar-andāz bhī ye log
manzar se apne aap haTā bhī huā huuñ maiñ
ik duur ke safar pe ravāna bhī huuñ 'zafar'
sust-ul-vajūd ghar meñ paḌā bhī huā huuñ maiñ