Zafar Iqbal

koi kinaya kahin aur baat karte hue

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
koī kināya kahīñ aur baat karte hue
koī ishāra zarā duur se guzarte hue
mire lahū kī lapak meñ rahe vo haath vo paañv
kuchh aa.ine se kahīñ Dūbte ubharte hue
sharār-e-bosa hī us sañg-e-lab se ho paidā
ki mere sar meñ ka.ī lafz haiñ ThiThurte hue
na saḳht-gīr thā vo aur na maiñ hī be-himmat
par us ko haath lagāyā hai aaj Darte hue
jalā.eñge nam-e-sāhil pe kashtiyāñ apnī
is āb-zār-e-tamāshā meñ paañv dharte hue
guzar hī jā.egī sar se kahīñ to mauj-e-havas
kabhī to sharm use aa.egī mukarte hue
havās meñ haiñ kahīñ ḳhauf ke nasheb o farāz
jo ḳhud se bhāgtā huuñ raah meñ Thaharte hue
ye kaam aur to ab kaun hī karegā yahāñ
sameTtā bhī rahūñ jism ko bikharte hue
mujhe to rañj thā sab se kahīñ ziyāda 'zafar'
jo dekh letā mirī samt bhī vo marte hue
Top Urdushayar.com