itnā Thahrā huā māhaul badalnā paḌ jaa.e
bāhar apne hī kināroñ se uchhalnā paḌ jaa.e
itnā mānūs bhī hone kī zarūrat kyā thī
kabhī is ḳhvāb se mumkin hai nikalnā paḌ jaa.e
chhoḌ jaa.eñ jo tumhāre sabhī hote sote
aur kabhī saath hamāre tumheñ chalnā paḌ jaa.e
duur se dekh ke ham jis ko Darā karte haiñ
kyā maza ho jo isī aag meñ jalnā paḌ jaa.e
kyā ḳhabar jis kā yahāñ itnā uḌāte haiñ mazāq
ḳhud hameñ bhī kabhī is rañg meñ Dhalnā paḌ jaa.e
dil kī ye āb-o-havā itnī muḳhālif hai agar
aur inhī mausamoñ meñ phūlnā-phalnā paḌ jaa.e
kaun kah saktā hai badle hue āsār ke saath
dekhā-dekhī hī tabī.at ko sambhalnā paḌ jaa.e
e'tibār ek dafa aur bhī karte hue phir
inheñ va.adoñ ke khilaunoñ se bahalnā paḌ jaa.e
sho.ala majbūr ho dariyā pe machalne ko 'zafar'
kisī din dasht se chashme ko ubalnā paḌ jaa.e