chalo itnī to āsānī rahegī
mileñge aur pareshānī rahegī
isī se raunaq-e-dariyā-e-dil hai
yahī ik lahar tūfānī rahegī
kabhī ye shauq nā-mānūs hogā
kabhī vo shakl anjānī rahegī
nikal jā.egī sūrat aa.ine se
hamāre ghar meñ hairānī rahegī
subuk-sar ho ke jiinā hai koī din
abhī kuchh din girāñ-jānī rahegī
sunoge lafz meñ bhī phaḌphaḌāhaT
lahū meñ bhī par-afshānī rahegī
hamārī garm-guftārī ke bā-vasf
havā itnī hī barfānī rahegī
abhī dil kī siyāhī zor par hai
abhī chehre pe tābānī rahegī
'zafar' maiñ shahr meñ aa to gayā huuñ
mirī ḳhaslat bayābānī rahegī