Zafar Iqbal

yun to kis chiz ki kami hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
yuuñ to kis chiiz kī kamī hai
har shai lekin bikhar ga.ī hai
dariyā hai rukā huā hamārā
sahrā meñ ret bah rahī hai
kyā naqsh banā.iye ki ghar meñ
dīvār kabhī nahīñ kabhī hai
ḳhvāhish kā hisāb bhī lagā.ūñ
laḌkī to bahut napī tulī hai
dil tañg hai paas baiThne se
uThnā chāhūñ to roktī hai
hotī jaatī hai merī tashkīl
juuñ juuñ mujh meñ vo TūTtī hai
tasvīr-e-ḳhizāñ lahū meñ ab ke
piilī piilī harī harī hai
bāhar se chaTān kī tarah huuñ
andar kī fazā meñ thartharī hai
pairav nahīñ ek bhī 'zafar' kā
kis maz.hab-e-saḳht kā nabī hai
Top Urdushayar.com