Zafar Iqbal

abhi to karna paDega safar dobara mujhe

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
abhī to karnā paḌegā safar dobāra mujhe
abhī kareñ nahīñ ārām kā ishāra mujhe
lahū meñ aa.egā tūfān-e-tund rāt-ba-rāt
karegī mauj-e-balā-ḳhez pāra-pāra mujhe
bujhā nahīñ mire andar kā āftāb abhī
jalā ke ḳhaak karegā yahī sharāra mujhe
utaar pheñktā maiñ bhī ye tār-tār badan
asīr-e-ḳhāk huuñ karnā paḌā guzāra mujhe
uḌe vo gard ki maiñ chār-sū bikhar jā.ūñ
ġhubār meñ nazar aa.e na koī chāra mujhe
mire hudūd meñ hai mere ās-pās kī dhund
rahā ye shahr to is kā nahīñ ijāra mujhe
sahar huī to bahut der tak dikhā.ī diyā
ġhurūb hotī huī raat kā kināra mujhe
mirī fazā meñ hai tartīb-e-kā.enāt kuchh aur
ajab nahīñ jo tirā chāñd hai sitāra mujhe
na chhū sakūñ jise kyā us kā dekhnā bhī 'zafar'
bhalā lagā na kabhī duur kā nazāra mujhe
Top Urdushayar.com