patā chalā koī girdāb se guzarte hue
na band hote hue baab se guzarte hue
ki ye to rakhtā pareshān hī mujhe shab-bhar
maiñ jaag uThā huuñ tire ḳhvāb se guzarte hue
maiñ apne dil ke añdheroñ ko yaad rakhtā huuñ
tire badan kī tab-o-tāb se guzarte hue
havā-e-ḳhauf-e-ḳhizāñ meñ laraztā rahtā huuñ
kisī bhī vādi-e-shādāb se guzarte hue
mujhe jo miltī nahīñ dushmanoñ kī ḳhair-ḳhabara
to pūchh letā huuñ ahbāb se guzarte hue
zamīñ pe dekhtā huuñ aab meñ gulāb ravāñ
aur āsmān pe surḳhāb se guzarte hue
maiñ chhoḌ aayā huuñ pīchhe hazār-hā meñDak
suḳhan-sarā.ī ke tālāb se guzarte hue
mujhe to ek bahāna hī chāhiye thā faqat
ki Duub jā.ūñgā pāyāb se guzarte hue
kahāñ chalī ga.iiñ karke ye toḌ phoḌ 'zafar'
vo bijliyāñ mire āsāb se guzarte hue