Zafar Iqbal

yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
yuuñ to hai zer-e-nazar har mājrā dekhā huā
phir nahīñ dekhā hai vo rañg-e-havā dekhā huā
vo tirā tarz-e-taġhāful ye tirā begāna-pan
vo alag dekhā huā hai ye judā dekhā huā
dekhte the jis ko pahlī baar hairānī se ham
asl meñ pahle hamārā vo bhī thā dekhā huā
toḌ kar hī aarzū pahuñchī kahīñ pāyān-e-kār
ghup-añdhere meñ koī band-e-qabā dekhā huā
dekhnā paḌtā hai kyā batlā.eñ phir kyuuñ baar baar
vo jo manzar thā hamārā bār-hā dekhā huā
farq hī donoñ meñ kuchh baaqī nahīñ ab to koī
kyā nahīñ dekhā huā hai aur kyā dekhā huā
ajnabī mere liye phir bhī hai kyuuñ merā vajūd
dar-ba-dar DhūñDā huā aur jā-ba-jā dekhā huā
ye jo an-dekhī guzargāhoñ pe haiñ mere qadam
shāyad in meñ bhī hai koī rāstā dekhā huā
jo na.ī tarz-o-ravish mujh ko dikhāte ho 'zafar'
ye to merī jaan sab kuchh hai mirā dekhā huā
Top Urdushayar.com