ab gumāñ hai na yaqīñ kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ
āsmāñ kuchh bhī nahīñ aur zamīñ kuchh bhī nahīñ
miT gayā dil se aqīdat kā bharam ya.anī ab
us kā dar kuchh bhī nahīñ apnī jabīñ kuchh bhī nahīñ
kyoñ na yak-rañgī-e-hālāt se jī uktā.e
ab koī bazm-e-tarab daur-e-hazīñ kuchh bhī nahīñ
ab to har husn-o-nazar rañg-o-mahak sāz-o-suḳhan
laakh achchhe hoñ magar ḳhud se hasīñ kuchh bhī nahīñ
jaane kis taur hai taqsīm-e-karam allāh kā
hai kahīñ kitnā hī kuchh aur kahīñ kuchh bhī nahīñ
aas bandhtī hai zarā der use takne meñ
kaun kahtā hai sar-e-arsh-e-barīñ kuchh bhī nahīñ
aa hī jā.eñge tah-e-dām-e-ajal sab ik din
ho bhale taḳht-nashīñ ḳhāk-nashīñ kuchh bhī nahīñ
kitnā pur-shor thā anfās kā bahtā dariyā
kyoñ ye kahtā hai dam-e-bāz-pasīñ kuchh bhī nahīñ
miT gayā jism huī ruuh bhī ruḳhsat kab kī
ab yahāñ koī makāñ hai na makīñ kuchh bhī nahīñ
ḳhud se kis taur sahe shaḳhs vo duurī apnī
hai ba-juz apne 'amar' jis ke qarīñ kuchh bhī nahīñ