Zafar Iqbal

kuchh usne socha to tha magar kaam kar diya tha

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kuchh us ne sochā to thā magar kaam kar diyā thā
jo mere ḳhvāboñ ko itne rañgoñ se bhar diyā thā
ġhubār meñ bhiig sī ga.ī thī fazā kisī ne
rukī huī raat ko vo rañg-e-sahar diyā thā
isī ke andar thī saarī pechīdgī ki us ne
kahāñ khaḌā thā maiñ aur ishāra kidhar diyā thā
chalo is asnā meñ merī āñkheñ to khul ga.ī haiñ
kabhī jo us ne mujhe fareb-e-nazar diyā thā
kisī bhī din baiTh kar ye duniyā hisāb kar le
ki mujh se kitnā liyā hai aur kas qadar diyā thā
maiñ kar sakūñ sab ke sāmne apnī aib-jūī
ye dene vaale ne ḳhaas mujh ko hunar diyā thā
isī meñ thā Dūbnā ubharnā mirā muqaddar
lahū ke andar mujhe ik aisā bhañvar diyā thā
jo dhuup kī aag us ne barsā.ī thī zamīñ par
to chhāñv meñ baiThne kī ḳhātir shajar diyā thā
ye us kī marzī ki le liyā hai usī ne vāpas
'zafar' mirī shā.erī ko jis ne asar diyā thā
Top Urdushayar.com