ye baat alag hai mirā qātil bhī vahī thā
is shahr meñ tārīf ke qābil bhī vahī thā
āsāñ thā bahut us ke liye harf-e-muravvat
aur marhala apne liye mushkil bhī vahī thā
tābīr thī apnī bhī vahī ḳhvāb-e-safar kī
afsāna-e-mahrūmi-e-manzil bhī vahī thā
ik haath meñ talvār thī ik haath meñ kashkol
zālim to vo thā hī mirā saa.il bhī vahī thā
ham aap ke apne haiñ vo kahtā rahā mujh se
āḳhir saf-e-aġhyār meñ shāmil bhī vahī thā
maiñ lauT ke aayā to gulistān-e-havas meñ
thā gul bhī vahī shor-e-anādil bhī vahī thā
daave the 'zafar' us ko bahut bā-ḳhabarī ke
dekhā to mire haal se ġhāfil bhī vahī thā