Zafar Iqbal

KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
ḳhushī milī to ye aalam thā bad-havāsī kā
ki dhyān hī na rahā ġham kī be-libāsī kā
chamak uThe haiñ jo dil ke kalas yahāñ se abhī
guzar huā hai ḳhayāloñ kī dev-dāsī kā
guzar na jā yūñhī ruḳh pher kar salām to le
hameñ to der se daavā hai rū-shanāsī kā
ḳhudā ko maan ki tujh lab ke chūmne ke sivā
koī ilaaj nahīñ aaj kī udāsī kā
gire paḌe hue pattoñ meñ shahr DhūñDtā hai
ajiib taur hai is jañgaloñ ke baasī kā
Top Urdushayar.com