baat aisī bhī koī nahīñ ki mohabbat bahut ziyāda hai
lekin ham donoñ se us kī tāqat bahut ziyāda hai
aap ke pīchhe pīchhe phirne se to rahe is umr meñ ham
raah pe aa baiThe haiñ ye bhī ġhanīmat bahut ziyāda hai
ishq udāsī ke paiġhām to laatā rahtā hai din raat
lekin ham ko ḳhush rahne kī aadat bahut ziyāda hai
kaam to kaafī rahtā hai lekin karnā hai kis ne yahāñ
be-shak roz idhar aa niklo fursat bahut ziyāda hai
kyā kuchh ho na sakā ham se aur hone vaalā hai kyā kuchh
hasrat bhī kaafī hai lekin hairat bahut ziyāda hai
sair hī karke aa jā.eñge phir bāzār-e-tamāshā kī
jis shai ko bhī haath lagā.eñ qīmat bahut ziyāda hai
us kī tavajjoh hāsil kī aur biich meñ sab kuchh chhoḌ diyā
hikmat jitnī bhī ho is meñ himāqat bahut zyāda hai
ishq hai kis ko yaad ki ham to Darte hī rahte haiñ sadā
husn vo jaisā bhī hai us kī dahshat bahut zyāda hai
ek chiiz jo apnī rasā.ī se bāhar hai kahīñ 'zafar'
sach pūchho to is kī hameñ zarūrat bahut zyāda hai