yuuñ bhī nahīñ ki shām-o-sahar intizār thā
kahte nahīñ the muñh se magar intizār thā
muddat ke ba.ad phuul kī sūrat khilā thā dil
shabnam kī tarah tāza-o-tar intizār thā
bāloñ meñ dhuul paañv meñ chhāle na the magar
phir bhī kuchh ek ranj-e-safar intizār thā
koī ḳhabar thī us kī parindoñ ke shor meñ
rañg-e-havā meñ shāḳh-o-shajar intizār thā
yuuñ thī javāharāt lab-o-chashm kī jhalak
jaise ye koī la.al-o-gohar intizār thā
dālān-o-dar meñ ek tavaqqo.a thī mauj mauj
dīvār-o-bām the ki bhañvar intizār thā
aise meñ e'tibār kisī par na thā mujhe
maiñ bhī thā saath saath jidhar intizār thā
āñkheñ thiiñ ḳhushk ḳhushk to dil bhī thā band band
khul hī nahīñ rahā thā kidhar intizār thā
māyūs hone vaale na the ham bhī ai 'zafar'
aayā nahīñ to bār-e-digar intizār thā