Zafar Iqbal

maine kab dawa kiya tha sar-ba-sar baqi hun main

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
maiñ ne kab da.avā kiyā thā sar-ba-sar baaqī huuñ maiñ
pesh-e-ḳhidmat hoñ tumhāre jis qadar baaqī huuñ maiñ
maiñ bahut sā jaise zaa.e.a ho chukā huuñ jā-ba-jā
haath se mahsūs kartā huuñ kidhar baaqī huuñ maiñ
DhūñDte haiñ ab jahāñ merā nishāñ tak bhī nahīñ
us taraf bhī dekh lenā thā jidhar baaqī huuñ maiñ
merī tafsīlāt meñ jaane kā mauqa.a ab kahāñ
ab to āsāñ hai samajhnā muḳhtasar baaqī huuñ maiñ
din chaḌhe honā na honā ek sā rah jā.egā
ye bhī kyā kam hai ki ab se raat bhar baaqī huuñ maiñ
ḳharch saarā ho chukā huuñ aur duniyā meñ kahīñ
kuchh agar huuñ bhī to ḳhud se be-ḳhabar baaqī huuñ maiñ
maiñ kisī kaam aa bhī saktā huuñ agar samjhe koī
aaj bhī ḳhas-ḳhāna-e-dil meñ sharar baaqī huuñ maiñ
maiñ agar baaqī nahīñ huuñ to bhī hai kis ko ġharaz
aur hai parvā yahāñ kis ko agar baaqī huuñ maiñ
kuchh bhī ho be-sūd hai mujh se safar karnā 'zafar'
jo kahīñ jaatī nahīñ vo rah-guzar baaqī huuñ maiñ
Top Urdushayar.com