safar kaThin hī sahī jaan se guzarnā kyā
jo chal paḌe haiñ to ab raah meñ Thaharnā kyā
jo dil meñ gūñjtī ho aañkh se jhalaktī ho
kisī ke sāmne us baat se mukarnā kyā
inhī ravāñ davāñ lahroñ pe zindagī kaT jaa.e
ho terā saath mayassar to paar utarnā kyā
mile na gauhar-e-maqsūd Duub kar bhī agar
to laash ban ke phir us bahr se ubharnā kyā
jis āb-rūd kī auqāt chand qatre ho
to us ko phāñdnā kyā us meñ paañv dharnā kyā
jahāñ ġhurūr hunar-parvarī ho pumba-e-gosh
vahāñ takalluf-e-arz-e-niyāz karnā kyā
fasād-e-ḳhalq bhī hañgāma dīdanī thā 'zafar'
phir ek baar vahī shoshā chhoḌ Darnā kyā