Zafar Iqbal

jism ke regzar mein sham-o-sahar sada karun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
jism ke regzār meñ shām-o-sahar sadā karūñ
manzil-e-jāñ to duur hai tai yahī fāslā karūñ
ye jo ravāñ haiñ chār-sū itne dhueñ ke aadmī
kis liye chob-e-sabz ko aag se āshnā karūñ
qaid kare to aap hai qaid sahe to aap hai
maiñ kise roktā phirūñ aur kise rihā karūñ
raat rukī hai aan kar zard safed ghaas par
laakh suḳhan hai darmiyāñ kis se kise judā karūñ
shāḳh hilī to Dar gayā dhuup khilī to mar gayā
kaash kabhī to jiite jī sub.h kā sāmnā karūñ
Top Urdushayar.com