paidā ye ġhubār kyuuñ huā hai
aur āḳhirī baar kyuuñ huā hai
maiñ kab se khaḌā huuñ is kināre
dariyā mire paar kyuuñ huā hai
sab kuchh tabdīl hote hote
shabnam se sharār kyuuñ huā hai
dekhā huā rāsta ye merā
dushvār-guzār kyuuñ huā hai
ghere meñ liye hue huuñ ḳhud ko
har-sū ye hisār kyuuñ huā hai
jo paañv pakaḌ rahā thā pahle
ab sar pe savār kyuuñ huā hai
chhoḌā thā jo kaam dil ne us par
phir se tayyār kyuuñ huā hai
pahle to nahīñ thā ye tarīqa
majma.a ye qatār kyuuñ huā hai
aabā to 'zafar' nahīñ the aise
phir sher shi.ār kyuuñ huā hai