jazba-e-shauq kā iz.hār kahāñ hotā hai
yaañ haqīqat pe bhī ḳhvāboñ kā gumāñ hotā hai
ahd-e-tiflī meñ jise ziist kā hāsil jaanā
vaqt kā ab unhī bātoñ meñ ziyāñ hotā hai
tum hī aaoge mirī ruuh meñ ḳhushbū ban kar
ye tasavvur bhī ajab rāhat-e-jāñ hotā hai
raat palkoñ pe sajātā huuñ vafāoñ ke charāġh
din nikalne pe ye andāz kahāñ hotā hai
ishq-e-shorīda ko ashkoñ se tamāshā na banā
aag par paanī ke paḌne se dhuāñ hotā hai
merā mahbūb hai kyā pūchhne vaale ab pūchh
haañ ye 'manzar' bhī shab-o-roz vahāñ hotā hai