ilzām ek ye bhī uThā lenā chāhiye
is shahr-e-be-amāñ ko bachā lenā chāhiye
ye zindagī kī āḳhirī shab hī na ho kahīñ
jo so ga.e haiñ un ko jagā lenā chāhiye
vo kis taraf chalā hai lagā.e koī surāġh
maiñ kis taraf ravāñ huuñ patā lenā chāhiye
yaanī qimār-e-ishq meñ kyā kuchh hai daav par
is rāz-e-vā-shagāf ko pā lenā chāhiye
kaisā hai kaun ye to nazar aa sake kahīñ
parda ye darmiyāñ se haTā lenā chāhiye
dil par jo yādgār rahe us ke makr kī
aisā bhī koī naqsh banā lenā chāhiye
is tarah bhī chalā hai kabhī kārobār-e-shauq
rūThe koī to us ko manā lenā chāhiye
kījiye na kyuuñ mutālba-e-vasl ai 'zafar'
kī hai vafā to is kā sila lenā chāhiye