Zafar Iqbal

kis nae KHwab mein rahta hun Duboya hua main

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kis na.e ḳhvāb meñ rahtā huuñ Duboyā huā maiñ
ek muddat huī jaagā nahīñ soyā huā maiñ
merī sūraj se mulāqāt bhī ho saktī hai
sūkhne Daal diyā jā.ūñ jo dhoyā huā maiñ
mujhe bāhar nahīñ sāmān ke andar DhūñDo
mil bhī saktā huuñ kisī shai meñ samoyā huā maiñ
bāzyābī kī tavaqqo hī kisī ko nahīñ ab
apnī duniyā meñ huuñ is tarha se khoyā huā maiñ
shaam kī āḳhirī aahaT pe dahaltā huā dil
sub.h kī pahlī havāoñ meñ bhigoyā huā maiñ
āsmāñ par koī koñpal sā nikal ā.ūñgā
sāl-hā-sāl se is ḳhaak meñ boyā huā maiñ
kabhī chāhūñ bhī to ab jā bhī kahāñ saktā huuñ
is tarah se tire kāñTe meñ piroyā huā maiñ
mere kahne ke liye baat na.ī thī na koī
kah ke chup hoga.e sab log to goyā huā maiñ
muskurāte hue miltā huuñ kisī se jo 'zafar'
saaf pahchān liyā jāatā huuñ royā huā maiñ
Top Urdushayar.com