Zafar Iqbal

jo narawa tha isko rawa karne aaya hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
jo nāravā thā us ko ravā karne aayā huuñ
maiñ qarz dūsroñ kā adā karne aayā huuñ
ik tāza-tar futūr mire sar meñ aur hai
jo kar chukā huuñ us se sivā karne aayā huuñ
ḳhud ik savāl hai mirā aanā hī is taraf
ab kyā batāiye ki maiñ kyā karne aayā huuñ
kahnī hai dūsroñ se alag maiñ ne koī baat
maiñ kaam koī sab se judā karne aayā huuñ
ik daaġh hai ki jis kā lagānā hai ab surāġh
ik zaḳhm hai ki jis ko harā karne aayā huuñ
anjām-e-kār dil kā ye darvāza toḌ kar
maiñ saare qaidiyoñ ko rihā karne aayā huuñ
rakhtā huuñ apnā aap bahut khīñch-tān kar
chhoTā huuñ aur ḳhud ko baḌā karne aayā huuñ
jo kar rahe haiñ aise hī karte raheñge sab
maiñ to fuzūl chūn-o-charā karne aayā huuñ
ḳhairāt kā mujhe koī lālach nahīñ 'zafar'
maiñ is galī meñ sirf sadā karne aayā huuñ
Top Urdushayar.com