Zafar Iqbal

kuchh dinon se jo tabiat meri yaksu kam hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kuchh dinoñ se jo tabī.at mirī yaksū kam hai
dil hai bhar-pūr magar aañkh meñ aañsū kam hai
tujhe ghere meñ liye rakhte haiñ kuchh aur hī log
yaanī tere liye ye halqa-e-bāzū kam hai
toḌ jaise hai koī apne hī andar is kā
varna aisā bhī nahīñ hai tirā jaadū kam hai
maiñ in āfāt-e-samāvī pe karūñ kyuuñ takiya
kyā mirī saarī tabāhī ke liye tū kam hai
rañg-e-mausam hī mohabbat kā diyā jis ne bigāḌ
shahr bhar ke liye kyā ek hī bad-ḳhū kam hai
peḌ kī chhāñv pe kartī hai qanā.at kyuuñ ḳhalq
aur kyuuñ sab ke liye sāya-e-gesū kam hai
zindagī hai vahī sad-rañg mire chāroñ taraf
kuchh dinoñ se magar is kā koī pahlū kam hai
vo bhī jaane se havā phirtā hai bāhar aur kuchh
dil pe apnā bhī ka.ī roz se qaabū kam hai
shā.irī chhoḌ bhī saktā nahīñ maiñ varna 'zafar'
jāntā huuñ is añdhere meñ ye jugnū kam hai
Top Urdushayar.com