Zafar Iqbal

dil ko rahin-e-band-e-qaba mat kiya karo

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
dil ko rahīn-e-band-e-qabā mat kiyā karo
hai lā-ilāj is kī davā mat kiyā karo
vaise to iḳhtiyār hai saarā tumheñ magar
jo nāravā hai us ko ravā mat kiyā karo
taufīq to huī nahīñ ḳhairāt kī kabhī
kahte haiñ is galī meñ sadā mat kiyā karo
jo mil ga.e haiñ un kī tavāzo ko chhoḌ kar
jo kho ga.e haiñ un kā patā mat kiyā karo
is kā mo.āmla hai judā vaz.a hī kuchh aur
dil meñ hisāb-e-tañgi-e-jā mat kiyā karo
kuchh aur log haiñ yahāñ is kaam ke liye
vājib hai jo bhī qarz adā mat kiyā karo
jaisā bhī hai vo yaar hai apnā khulā-Dalā
kuchh is liye bhī ḳhauf-e-ḳhudā mat kiyā karo
sach hai ki ham se baat bhī karnā namāz hai
gar ho sake to is ko qazā mat kiyā karo
tum se to hai 'zafar' kā bas itnā mutālba
ḳhud se ise ziyāda judā mat kiyā karo
Top Urdushayar.com