Zafar Iqbal

tere labon pe agar surKHi-e-wafa hi nahin

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
tire laboñ pe agar surḳhi-e-vafā hī nahīñ
to ye banāo ye saj dhaj tujhe ravā hī nahīñ
maiñ terī ruuh kī pattī kī tarah kaañp gayā
havā-e-sub.h-e-subuk-gām ko patā hī nahīñ
kisī umiid ke phūloñ bhare shabistāñ se
jo aañkh mal ke uThā huuñ to vo huā hī nahīñ
farāz-e-shām se girtā rahā fasāna-e-shab
gadā-e-gauhar-e-guftār ne sunā hī nahīñ
chamak rahā hai mirī zindagī kā har lamha
maiñ kyā karūñ ki mirī aañkh meñ ziyā hī nahīñ
Top Urdushayar.com