Zafar Iqbal

viran thi raat chand ka patthar siyah tha

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
vīrāñ thī raat chāñd kā patthar siyāh thā
yā parda-e-nigāh sarāsar siyāh thā
TuuTe hue makāñ kī adā dekhtā koī
sarsabz thī muñDer kabūtar siyāh thā
maiñ Dūbtā jazīra thā maujoñ kī maar par
chāroñ taraf havā kā samundar siyāh thā
nashsha chaḌhā to raushniyāñ sī dikhā.ī diiñ
hairān huuñ ki maut kā sāġhar siyāh thā
vo ḳhvāb thā ki vāhima bas itnā yaad hai
bāhar safed o surḳh thā andar siyāh thā
chamkā kahīñ na ret kā zarra bhī rāt-bhar
sahrā-e-intizār barābar siyāh thā
is tarha bādaloñ kī chhateñ chhā.ī thiiñ 'zafar'
sahmī huī zamīn thī manzar siyāh thā
Top Urdushayar.com