bijlī girī hai kal kisī ujḌe makān par
rone lagūñ ki hañs paḌūñ is dāstān par
vo qahr thā ki raat kā patthar pighal paḌā
kyā ātishīñ gulāb khilā āsmān par
ik naqsh sā nikhartā rahegā nigāh meñ
ik harf sā laraztā rahegā zabān par
apne liye hī aañkh kā parda huuñ raat din
maiñ varna āshkār huuñ saare jahān par
sher aa ke chiir phaaḌ gayā mujh ko ḳhvāb meñ
dam-bhar ko merī aañkh lagī thī machān par
pyāsī hai ruuh jism sharābor hai to kyā
be-kār meñh barastā rahā sā.ebān par
piilī havā meñ ḳhuun kā zarra uḌā hī thā
pāgal huā ye shahr zarā se nishān par
ḳhālī paḌī haiñ bed kī bīmār kursiyāñ
ḳhūñ-ḳhvāb-dhūp-dhund barastī hai lawn par
kis taaza mārke pe gayā aaj phir 'zafar'
talvār taaq meñ hai na ghoḌā hai thaan par