aaj gum-gashta ḳhayālāt ne chauñkāyā hai
phir koī dasht-e-junūñ se mujhe le aayā hai
zehn-e-āvāra ne ehsās ko rāheñ de kar
manzil-e-dār-o-rasan tak mujhe pahuñchāyā hai
ḳhauf ne luuT lī har gaam pe nabzoñ kī asaas
dar-ba-dar ruuh kī galiyoñ meñ mirā saaya hai
hausle aaj bhī mīrās haiñ mere dil ke
maiñ ne har-gām pe tūfān ko palTāyā hai
be-ḳhatar kaun chalā jānib-e-manzil 'manzar'
kis kā lahja hai jo māhaul se Takrāyā hai