'zafar' fasānoñ ki dāstānoñ meñ rah ga.e haiñ
ham apne guzre hue zamānoñ meñ rah ga.e haiñ
ajab nahīñ hai ki ḳhud havā ke supurd kar deñ
ye chand tinke jo āshiyānoñ meñ rah ga.e haiñ
makīn sab kuuch kar ga.e haiñ kisī taraf ko
ab un ke āsār hī makānoñ meñ rah ga.e haiñ
sunā karo sub.h o shaam kaḌvī kasīlī bāteñ
ki ab yahī zā.iqe zabānoñ meñ rah ga.e haiñ
pasand aa.ī hai is qadar ḳhātir-o-tavāzo
jo mehmāñ saare mezbānoñ meñ rah ga.e haiñ
hameñ hī show-case meñ sajā kar rakhā gayā thā
baḌe hamīñ shahr kī dukānoñ meñ rah ga.e haiñ
abhī yahī inqilāb aayā hai rafta rafta
jo rone vaale the naach gānoñ meñ rah ga.e haiñ
alag alag apnā apnā parcham uThā rakhā hai
ki ham qabīloñ na ḳhāndānoñ meñ rah ga.e haiñ
'zafar' zamīñ-zād the zamīñ se hī kaam rakkhā
jo āsmānī the āsmānoñ meñ rah ga.e haiñ