Zafar Iqbal

hai aur baat bahut meri baat se aage

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
hai aur baat bahut merī baat se aage
zamīn zarra hai is kā.enāt se aage
ik aur silsila-e-hādsāt hai raushan
is ek silsila-e-hādsāt se aage
havā-e-aks-e-bahār-o-ḳhizāñ nahīñ hai faqat
agar nigāh karo phuul paat se aage
ye ham jo peT se hī sochte haiñ shaam o sahar
kabhī to jā.eñge is dāl-bhāt se aage
kuchh aur tarah ke atrāf muntazir haiñ kahīñ
uThā.eñ zahmat agar shash-jahāt se aage
na rok paa.e taġhayyur kī tez tuġhyānī
jo band bāñdhne aa.e sabāt se aage
kueñ meñ baiTh ke hī TarTarā ga.e kuchh din
nazar paḌā nahīñ kuchh apnī zaat se aage
is aab o rañg se bāhar bhī ik tamāshā hai
chale-chalo jo nazar kī sifāt se aage
'zafar' ye din to natīja hai raat kā yaksar
kuchh aur DhūñDtā rahtā huuñ raat se aage
Top Urdushayar.com