ba-zāhir sehat achchhī hai jo bīmārī ziyāda hai
isī ḳhātir buḌhāpe meñ havas-kārī ziyāda hai
chale gā kis tarah se kārobār-e-shauq is sūrat
rasad kuchh bhī nahīñ hai aur talabgārī ziyāda hai
mohabbat kaam hai jis tarah kā bas dekhte jaao
rukā rahtā bhī hai aksar magar jaarī ziyāda hai
hameñ ḳhud bhī yaqīñ aatā nahīñ is kā jo ye ham par
girāñ-bārī kī nisbat se subuk-sārī ziyāda hai
surāġh is kā kahīñ andar to kuchh miltā nahīñ be-shak
ye hālat vo hai jo ham par abhī taarī ziyāda hai
uThā sakte nahīñ jab chuum kar hī chhoḌnā achchhā
mohabbat kā ye patthar is daf.a bhārī ziyāda hai
hifāzat hī hamārā mas.ala thā roz-e-avval se
so apne ird-gird ab chār-dīvārī ziyāda hai
imārat ye mukammal hone vaalī hī nahīñ lagtī
ki is ta.amīr meñ kuchh rañg-e-mismārī ziyāda hai
zarūrī ho to kar deñge 'zafar' tardīd bhī jaarī
bayān-e-ishq apnā ab ke aḳhbārī ziyāda hai