Zafar Iqbal

taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
taqāzā ho chukī hai aur tamannā ho rahā hai
ki sīdhā chāhtā huuñ aur ulTā ho rahā hai
ye tasvīreñ sadāoñ meñ Dhalī jaatī haiñ kyuuñ kar
ki āñkheñ band haiñ lekin tamāshā ho rahā hai
kahīñ Dhaltī hai shaam aur phūTtī hai raushnī sī
kahīñ pau phaT rahī hai aur añdherā ho rahā hai
pas-e-mauj-e-havā bārish kā bistar sā bichhāne
sar-e-bām-e-navā bādal kā TukḌā ho rahā hai
jise darvāza kahte the vahī dīvār niklī
jise ham dil samajhte the vo duniyā ho rahā hai
qadam rakkhe haiñ is pāyāb meñ ham ne to jab se
ye dariyā aur gahrā aur gahrā ho rahā hai
ḳharābī ho rahī hai to faqat mujh meñ hī saarī
mire chāroñ taraf to ḳhuub achchhā ho rahā hai
kahāñ tak ho sakā kār-e-mohabbat kyā batā.eñ
tumhāre sāmne hai kaam jitnā ho rahā hai
guzarte jā rahe the ham 'zafar' lamha-ba-lamha
samajhte the ki ab apnā guzāra ho rahā hai
Top Urdushayar.com