Zafar Iqbal

mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
mausam kā haath hai na havā hai ḳhalāoñ meñ
phir us ne kiyā tilism rakhā hai ḳhalāoñ meñ
jo TūTtī bikhartī sī rahtī hai raat din
kuchh is tarah kī ek sadā hai ḳhalāoñ meñ
jaarī hai raushnī kā safar duur duur tak
kyā khel koī khel rahā hai ḳhalāoñ meñ
manzar bhī muḳhtalif haiñ judā is ke rañg bhī
jis tarha koī ḳhvāb-e-navā hai ḳhalāoñ meñ
jaarī hai kahkashāoñ kī bārāt is tarah
melā sā jaise koī lagā hai ḳhalāoñ meñ
san.at-garī kī ramz alag hai zamīn par
kārīgarī kā raaz judā hai ḳhalāoñ meñ
raftār aur vaqt kā andāza hai kuchh aur
fitrat kī muḳhtalif hī adā hai ḳhalāoñ meñ
is kā.enāt kī koī had hī nahīñ 'zafar'
apnā hī us ne tarz rakhā hai ḳhalāoñ meñ
Top Urdushayar.com