khiḌkiyāñ kis tarah kī haiñ aur dar kaisā hai vo
sochtā huuñ jis meñ vo rahtā hai ghar kaisā hai vo
kaisī vo āb-o-havā hai jis meñ vo letā hai saañs
aatā jaatā hai vo jis par rahguzar kaisā hai vo
kaun sī rañgat ke haiñ us ke zamīn-o-āsmāñ
chhāñv hai jis kī yahāñ tak bhī shajar kaisā hai vo
ik nazar meñ hī nazar aa jā.egā vo sar-ba-sar
phir bhī us ko dekhnā bār-e-digar kaisā hai vo
maiñ to us ke ek ik lamhe kā rakhtā huuñ shumār
aur mere hāl-e-dil se be-ḳhabar kaisā hai vo
us kā honā hī bahut hai vo kahīñ hai to sahī
kyā sarokār is se hai mujh ko 'zafar' kaisā hai vo