Zafar Iqbal

jo banda-e-KHuda tha KHuda hone wala hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
jo banda-e-ḳhudā thā ḳhudā hone vaalā hai
kyā kuchh abhī to jalva-numā hone vaalā hai
ye bhī durust hai ki payambar nahīñ huuñ maiñ
hai ye bhī sach ki merā kahā hone vaalā hai
kuchh ashk-e-ḳhūñ bachā ke bhī rakhiye ki shahr meñ
jo ho chukā hai us se sivā hone vaalā hai
vo vaqt hai ki ḳhalq pe har zulm-e-nā-ravā
allāh kā naam le ke ravā hone vaalā hai
ik ḳhauf hai ki hone hī vaalā hai jā-guzīñ
ik ḳhvāb hai ki sab se judā hone vaalā hai
rañg-e-havā meñ hai ajab asrār sā koī
koī bhī jāntā nahīñ kyā hone vaalā hai
ḳhush thā siyāh-ḳhāna-e-dil meñ bahut lahū
is qaid se magar ye rihā hone vaalā hai
ye tiir āḳhirī hai bas us kī kamān meñ
aur vo bhī dekh lenā ḳhatā hone vaalā hai
ik lahar hai ki mujh meñ uchhalne ko hai 'zafar'
ik lafz hai ki mujh se adā hone vaalā hai
Top Urdushayar.com