Zafar Iqbal

aatash o injimad hai mujh mein

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
ātash o injimād hai mujh meñ
kaisā kaisā tazād hai mujh meñ
ḳhvāb se pahle kuchh nahīñ yaksar
jo bhī hai us ke baad hai mujh meñ
zaḳhm khulte haiñ saañs ghuTtī hai
aisī bast-o-kushād hai mujh meñ
rañj-e-dil hai harā bharā ab tak
koī to hai jo shaad hai mujh meñ
dushmanī kā hī rah gayā sarokār
varna kis kā mafād hai mujh meñ
koī is kā sabab nahīñ tū hī
ye jo itnā fasād hai mujh meñ
koī jalsa hai zor kā jaise
jis kā ye in.iqād hai mujh meñ
jise ab tak talāsh kartā huuñ
gum-shuda ek yaad hai mujh meñ
āñdhiyāñ sī jo chal rahī haiñ 'zafar'
sūrat-e-ḳhāk-o-bād hai mujh meñ
Top Urdushayar.com