Zafar Iqbal

kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kuchh sabab hī na bane baat baḌhā dene kā
khel khelā huā ye us ko bhulā dene kā
apne hī sāmne dīvār banā baiThā huuñ
hai ye anjām use raste se haTā dene kā
yūñhī chup chaap guzar jā.iye in galiyoñ se
yahāñ kuchh aur hī matlab hai sadā dene kā
rāsta roknā maqsad nahīñ kuchh aur hai ye
darmiyāñ meñ koī dīvār uThā dene kā
aane vāloñ ko tarīqa mujhe aatā hai bahut
jaane vāloñ ke ta.āqub meñ lagā dene kā
ek maqsad to huā DhūñDnā us ko har-sū
lutf hī aur hai paane se gañvā dene kā
ik hunar paas thā apne so nahīñ ab vo bhī
jo dikhā.ī nahīñ detā hai dikhā dene kā
sab ko mālūm hai aur hausla rakhtā huuñ abhī
apne likkhe hue ko ḳhud hī miTā dene kā
TuuT paḌtī hai qayāmat koī pahle hī 'zafar'
qasd kartā huuñ jo fitne ko jagā dene kā
Top Urdushayar.com