Zafar Iqbal

ek hi naqsh hai jitna bhi jahan rah jae

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
ek hī naqsh hai jitnā bhī jahāñ rah jaa.e
aag uḌtī phire har-sū ki dhuāñ rah jaa.e
kuchh ġharaz is se nahīñ rizq-e-gadā ho ki na ho
kūcha-o-rāh meñ āvāz-e-sagāñ rah jaa.e
ye safar vo hai ki itnā bhī ġhanīmat hai agar
apne ham-rāh yahī ḳhaak ravāñ rah jaa.e
aur kuchh roz ruke sust lahū kā mausam
aur kuchh der yahī rañg-e-ḳhizāñ rah jaa.e
aaj kal us kī tarah ham bhī haiñ ḳhālī ḳhālī
ek do din use kahiyo ki yahāñ rah jaa.e
kuchh to rah jaa.e tag-o-tāz talab meñ baaqī
vahm apnā rahe yā us kā gumāñ rah jaa.e
vo tamannā huuñ ki dil se na guzar ho jis kā
vo tamāshā huuñ ki nazroñ se nihāñ rah jaa.e
ye bhī ik marhala-e-saḳht hai ai sāhab-e-tarz
ki bayāñ kī jagah andāz-e-bayāñ rah jaa.e
naam to phir bhī baḌī baat hai duniyā meñ 'zafar'
ye bhī kyā kam hai jo kuchh apnā nishāñ rah jaa.e
Top Urdushayar.com