yaqīñ kī ḳhaak uḌāte gumāñ banāte haiñ
magar ye turfa imārat kahāñ banāte haiñ
lagā rahe haiñ na.e zā.eqoñ ke zaḳhm abhī
asās-e-fikr na tarz-e-bayāñ banāte haiñ
qarīb-o-dūr se bejoḌ aks ashiyā ke
talāsh karte haiñ aur dāstāñ banāte haiñ
ki mil sake na hamārā surāġh ham ko bhī
binā-e-abr-o-havā par makāñ banāte haiñ
purāne zulm meñ lazzat nahīñ hamāre liye
ham apne sar pe nayā āsmāñ banāte haiñ
nahīñ nasīb meñ marnā savād-e-sāhil par
jo Dūbne ke liye kashtiyāñ banāte haiñ
falak pe DhūñDte haiñ gard-e-rañg-e-rafta-e-dil
zamīñ pe shām-e-talab kā nishāñ banāte haiñ
vo jis kī lai pe laraztā hai barg barg badan
us ek rañg se naqsh-e-ḳhizāñ banāte haiñ
'zafar' ye vaqt hī batlā.egā ki āḳhir ham
bigāḌte haiñ zabāñ yā zabāñ banāte haiñ