hazār bandish-e-auqāt se nikaltā hai
ye din nahīñ jo mirī raat se nikaltā hai
vo raushnī meñ bhī hotā nahīñ kahīñ maujūd
jo rañg māh-e-mulāqāt se nikaltā hai
mujhe bahut hai jo ḳhushbū kā ek jhoñkā sā
kabhī kabhī tire bāġhāt se nikaltā hai
isī navāh meñ ābād huuñ kahīñ maiñ bhī
dhuāñ jo mere mazāfāt se nikaltā hai
dil aur tarha ke hālāt se ulajhtā huā
kuchh aur tarha ke hālāt se nikaltā hai
subūt saarā hamāre ḳhilāf bhī ab to
hamāre apne bayānāt se nikaltā hai
jo chāroñ samt girānī kī hai farāvānī
to qahat bhī isī buhtāt se nikaltā hai
vo lahn jis kā sarokār hī nahīñ mujh se
kabhī to vo bhī mirī zaat se nikaltā hai
'zafar' ye bā.is-e-tashvīsh bhī hai sab ke liye
jo matlab aur mirī baat se nikaltā hai