aisā vo be-shumār-o-qatār intizār thā
pahlī hī baar dūsrī baar intizār thā
ḳhāmoshī-e-ḳhizāñ thī chaman-dar-chaman tamām
shāḳh-o-shajar meñ shor-e-bahār intizār thā
dekhā to ḳhalvat-e-ḳhas-o-ḳhāshāk ḳhvāb meñ
raushan koī charāġh-e-sharār intizār thā
bāhar bhī gard umiid kī uḌtī thī duur duur
andar bhī chāroñ-samt ġhubār intizār thā
phaile hue vo ghaas ke taḳhte na the vahāñ
dar-asl ek silsila-vār intizār thā
koī ḳhabar thī āmad-o-imkān-e-sub.h kī
aur us ke ird-gird hisār intizār thā
kis ke gumān meñ the na.e mausamoñ ke rañg
kis kā mire sivā sarokār intizār thā
umDā huā hujūm-e-tamāshā thā dā.eñ-bā.eñ
tanhā thiiñ āñkheñ aur hazār intizār thā
chakkar the paañv meñ koī shām-o-sahar 'zafar'
uupar se mere sar pe savār intizār thā