vo ek tarha se iqrār karne aayā thā
jo itnī duur se inkār karne aayā thā
ḳhushī jo ḳhvāb meñ bhī merī dastaras se thī duur
mujhe isī kā sazā-vār karne aayā thā
ye saaf lagtā hai jaisī ki us kī āñkheñ thiiñ
vo asl meñ mujhe bīmār karne aayā thā
agar thā us ko mirī haisiyat kā andāza
to kyuuñ vo apnā ḳharīdār karne aayā thā
ye zindagī ki jo āsāñ nahīñ thī pahle bhī
use kuchh aur bhī dushvār karne aayā thā
agarche ek hī sust-ul-vajūd thā lekin
vo kaam koī lagātār karne aayā thā
mire to bas meñ koī chiiz thī na pahle bhī
vo mujh ko aur bhī lāchār karne aayā thā
vo ek abr-e-girāñ-e-bār thā magar is din
zarā fazā ko havā-dār karne aayā thā
adāvatoñ meñ vahāñ dhar liyā gayā huuñ 'zafar'
jahāñ ke logoñ se maiñ pyaar karne aayā thā