dil kā ye dasht arsa-e-mahshar lagā mujhe
maiñ kyā balā huuñ raat baḌā Dar lagā mujhe
aage bhī ishq meñ huiiñ rusvā.iyāñ magar
ab ke vafā kā zaḳhm jabīñ par lagā mujhe
ai dil vo mehrbāñ hai yūñhī bad-gumāñ na ho
maarā thā us ne ġhair ko patthar lagā mujhe
har sū tire vajūd kī ḳhushbū thī ḳhema-zan
vo din ki apnā ghar bhī tirā ghar lagā mujhe
hañs kar na Taal jā ki ye ummīd kī kiran
vo tiir hai ki siine ke andar lagā mujhe
tārīki-e-hayāt kā andāza kar ki aaj
dāġh-e-shikast mahr-e-munavvar lagā mujhe
sāñche to the ġhazal ke sivā bhī magar 'zafar'
kyā jaane kyuuñ ye zarf hasīn-tar lagā mujhe