hameñ bhī matlab-o-ma.anī kī justujū hai bahut
harīf-e-harf magar ab ke dū-ba-dū hai bahut
vaqār ghar kī tavāzo hī par nahīñ mauqūf
ba-faiz-e-shā.irī bāhar bhī aabrū hai bahut
phaTe purāne diloñ kī ḳhabar nahīñ letā
agarche jāntā hai hājat-e-rafū hai bahut
badan kā saarā lahū khiñch ke aa gayā ruḳh par
vo ek bosa hameñ de ke surḳh-rū hai bahut
idhar udhar yuuñ hī muñh mārte bhī haiñ lekin
ye mānte bhī haiñ dil se ki ham ko tū hai bahut
ab us kī diid mohabbat nahīñ zarūrat hai
ki us se mil ke bichhaḌne kī aarzū hai bahut
yahī hai be-sar-o-pā baat kahne kā mauqa.a
patā chalegā kise shor chār-sū hai bahut
ye haal hai to badan ko bachā.iye kab tak
sadā meñ dhuup bahut hai lahū meñ lū hai bahut
yahī hai fikr kahīñ maan hī na jaa.eñ 'zafar'
hamāre mojaza-e-fan pe guftugū hai bahut