qadam qadam pe jo apnā nishāñ banāte haiñ
zamīñ pe chalte haiñ aur kahkashāñ banāte haiñ
har ek lamha vo tūfān par nazar rakkheñ
kanār-e-bahr jo apnā makāñ banāte haiñ
burī nazar na koī sarhadoñ se paar uThe
ham ab vatan ke liye pāsbāñ banāte haiñ
na bū-e-gul na anā kī ramaq milī un meñ
jo vahshatoñ kā sadā āshiyāñ banāte haiñ
hamāre baad kī nasleñ baneñgī kyā 'manzar'
zamīñ ko bātoñ meñ ham āshiyāñ banāte haiñ