simaTne kī havas kyā thī bikharnā kis liye hai
vo jiinā kis kī ḳhātir thā ye marnā kis liye hai
mohabbat bhī hai aur apnā taqāzā bhī nahīñ kuchh
ham us se saaf kah deñge mukarnā kis liye hai
jhijhaknā hai to us ke sāmne honā hī kaisā
jo Darnā hai to dariyā meñ utarnā kis liye hai
masāfat ḳhvāb hai to ḳhvāb meñ ab jāgnā kyā
agar chal hī paḌe haiñ to Thaharnā kis liye hai
na karne se bhī hotā ho jahāñ sab kā guzāra
vahāñ āḳhir kisī ne kaam karnā kis liye hai
agar ruknā nahīñ us ne hamāre paas to phir
hamāre rāste par se guzarnā kis liye hai
vo kah degā to uTh jā.eñge us kī bazm se ham
munāsib hī nahīñ lagtā pasarnā kis liye hai
'zafar' us par asar to koī hotā hai na hogā
to phir ye roz kā banñā sañvarnā kis liye hai