aisī koī darpesh havā aa.ī hamāre
jo saath hī patte bhī uḌā laa.ī hamāre
vo abr ki chhāyā rahā āñkhoñ ke ufuq par
vo barq jo andar kahīñ lahrā.ī hamāre
dekhā hai bahut ḳhvāb-e-mulāqāt bhī har-ros
hisse meñ jo ab aa.ī hai tanhā.ī hamāre
is baar milī hai jo natīje meñ burā.ī
kaam aa.ī hai apnī koī achchhā.ī hamāre
the hī nahīñ maujūd to kyuuñ ḳhalq ne us kī
chāroñ taraf afvāh sī phailā.ī hamāre
phir jhuuT kī is meñ hameñ karnī hai milāvaT
phir raas nahīñ aa.egī sachchā.ī hamāre
Darte hue kholā to hai ye bāb-e-ta.āruf
paḌ jaa.e gale hī na shanāsā.ī hamāre
daavā to bahut ramz-shanāsī kā use thā
ye ḳhalq ishāre na samajh paa.ī hamāre
chal bhī diye dikhlā ke tamāshā to 'zafar' ham
baiThe rahe tā-der tamāshā.ī hamāre