bīnā.ī se bāhar kabhī andar mujhe dekhe
mumkin hī nahīñ hai vo barābar mujhe dekhe
ho jaa.e kabhī raat mire dam se bhī raushan
vo sham.a-e-tamāshā jo ghaḌī-bhar mujhe dekhe
maiñ ḳhud meñ to maujūd hī mushkil se rahūñgā
har dekhne vaalā mire bāhar mujhe dekhe
DhūñDe koī mujh ko to isī ḳhāk-e-havas meñ
yā silsila-e-sail-e-havā par mujhe dekhe
māhaul hī kuchh ho chaman-e-ḳhvāb kā aisā
bulbul mujhe samjhe to gul-e-tar mujhe dekhe
ab dekhnā hī shart ye Thahrī hai ki yuuñ ho
maiñ manzar-e-nāyāb ko manzar mujhe dekhe
dariyā kī pazīrā.ī meñ shak to nahīñ lekin
ik lahar ho aisī bhī ki uTh kar mujhe dekhe
maiñ baar digar hī kahīñ aatā huuñ samajh meñ
jo dekhnā chāhe so mukarrar mujhe dekhe
merā nazar aanā hai 'zafar' baat hī kuchh aur
jo dekh nahīñ saktā vo aksar mujhe dekhe