Zafar Iqbal

mustarad ho gaya jab tera qubula hua main

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
mustarad ho gayā jab terā qubūlā huā maiñ
yaad kyā ā.ūñgā is tarah se bhūlā huā maiñ
baat mujh meñ bhī kuchh is tarah kī hogī jo yahāñ
kabhī vāpas hī na hotā thā vasūlā huā maiñ
ḳhaak thī aur havā thī mire andar bāhar
dasht ik sāmne thā aur bagūlā huā maiñ
nahīñ marne meñ bhī darkār ta.āvun mujh ko
chhat se apnī hī nazar ā.ūñgā jhūlā huā maiñ
vaqt vo thā ki ḳhad-o-ḳhāl numāyāñ the mire
ab ye hālat hai ki bas ik hayūlā huā maiñ
ye bhī sach hai ki amal mujh pe kisī ne na kiyā
varna kahne ko to mash.hūr maqūla huā maiñ
ik nahūsat hai mire mausamoñ par chhā.ī huī
hai yahī vaj.h ki phaltā nahīñ phūlā huā maiñ
phir kisī se bhī girah mujh pe lagā.ī na ga.ī
koī beDhab hī bahut misrā-e-ūlā huā maiñ
maut ke saath huī hai mirī shādī so 'zafar'
umr ke āḳhirī lamhāt meñ dūlhā huā maiñ
Top Urdushayar.com